Monday, April 22, 2013

Kuch to chamka hai, man yeh bamka hai!


This poem is an ode to the days when we would often scavenge on hidden food items in the common fridge. The life of the item being only the time it wasn't found.

Kuch to chamka hai, man yeh bamka hai,
Isliye kavita karne ka mera bhi aaj dil yeh karta hai,
Arz kiya hai, woh samay yaad aaya hai
Kisi ne kuch to chhipaya hai,
Jo aaj mujhko nazar aaya hai,
Woh thande freezer ke ek kone se jhaakta hua woh bebas shaahi tukda,
Woh machaltee jalebi our hari chutney aur samose ka ek baada tukda,
Woh badami mithai, woh mathura ke pede ki jhalakh dikhlata man ko lalchata paani le aata chota tukda,
Woh rasmalai, woh pinnia jo ghar se ban ke aayi hain.
Mooh mein paani laake cheekh cheekh ke keh raahin hain humari ore bhi nazar badhayiye.
Isliye fridge ke ek kone ki ore baadi umeed se humne bhi apna yeh dil lagaya aur haanth badhaya hai,
Dekhna yeh hai ki hisab mein ab kitna bakaya hai,
Haanth lag gaya jo aaj to shaukh se usse kha lenge,
Asl kya cheeze hai barkhoddar, bar bar yeh mast bhool bhi hum dohra lenge, 
Tashtari our dubbe ko saaf kar hum sood bhi chuka denge,
Dil mein yehi hai aas, kwashishein aur hoslein hain durusto khaas,
Isiliye to aaj tak yeh mauka humne kabhi nahi gawaya hai!! 


No comments:

Post a Comment