Sust chicken mein
Beman tamatar aur sota hua pyaaz daala
Jhulse hue jeere aur tadapti raai se usse bagara
Daahi ki bikhartee hue see daasha sambhli sambhali kadhai mein daali
Phir kaali mirch kee gussail aankhen bhi usme duba leen
Namak to kaabse injezaar mein tha kee koi usse mila de baaki susto se
Woh bhi rasam poori ke aur tamtamayi mirch kee bagar daali
Tab jaake hua rang gehra pyaaz aur tamatar ka aaj aur ek saundhee see mahak jaagi khaas
Par itna kaafi na tha suston ko sustee se uthane ka prayas
To humne phir lagaya apni kalakari ka poora abhyas aur mila diya kasoori methi rupak paani ke jhaunke ka ek chotta sa sath
Suston ko hua tab subah hone ka gyaat aur murge ke salan mein aaya swaad ke jagne ki khusbhoo ka ek anokha ehsaas..
To doston is tarah baani woh ‘chicken curry khasam khaas’!