Yaad hain wo din jab hum coding kiya karte the ...
Computer ki lab mein baith raat raat bhar jiya karte the,
Woh din the mast raseele din
Jinme hum apni kwaabon ki duniya siya karte the ...
Uss lab ne humein bahut kuch siklaya …
Naayi naayi taknikee bhashaon ka prachalan karna sikhlaya …
Coding karna kise kehtein hain …. Humein gyat karwaya…
Humko baadi baadi software company mein coding karne ke
Adbhut kwaab bhi dikhlaye..
Woh din bhi kya din the jab hum code chalta dekh khush hua karte the …
Yaad hain wo din jab hum coding kiya karte the …
Phir ek din aaya jisne humein college chudwaya
Coding ke junoon ne humein ek software company mein dakhila dilwaya…
Sabne ne dee badhaiyan aur bataya yahi hai mauka junoon ko anjaam dene ka…
Humnein jab pehle din company mein jaake apna kaam uthaya…
Company waalo ne tab humein waha ki pratha se gyaat karwaya …
Aur poocha tumhe kya aata hai ‘fresher’?
Humne bola humne coding mein adbhud maharath haasil hai..
Bilkul naayi takniko mein humne apna gyaan badhaya hai…
Company waalo ne tab thooda azmanjas dikhlaya …
Bole yeh tumhne humein kya batlaya …
Aur phir bole woh sab to theek hai lekin tumhein excel, word aur mail ka gyaat kitna hai?
Humnein unki taraf ascharyajanak nazaron se dekha…
Jab unhone humein excel, word aur mail ka mahatwa bataya …
Aur bole ki coding karne se pehle enmein maharath haasil karo…
Yaadi humnein excel, word aur email mein agrata dikhaai to humein coding bhi karne ka mauka milega…
Phir kya tha … humne poora sahas jutaya aur excel, word aur mail mein apna gyaan khoob badhya …
Woh din tha ek din aur hai aaj ka din…
Team member the tab project manager hain ab …
Excel, word aur email ki training ab bhi bhi jaari hai …
Coding karne ka mauka milega kabhi…aisi ashaa ki kiran man mein kabhi jaagti hai…
Aur tabhi khwaab se neend toot jaati hai … khwaab tha shayad … khwaab hee hoga …
Yaad hain wo din jab hum coding kiya karte the ...
Computer ki lab mein baith raat raat bhar jiya karte the..
Woh din the mast raseele din
Jinme hum apni kwaabon ki duniya siya karte the ...
Saturday, March 7, 2009
Subscribe to:
Comments (Atom)